Wednesday, 3 April 2013

RESPECT OF MOTHER

MAA KI AZMAT....

1. Maa ek perr ki manind hai jo tez dhoop mein khrra hota hai

    lekin apne neeche bethne walon ko thandak pohnchata hai.


2. maa ki dua , jannat ki hawa hai.

3. maa ek chhatri ki trah hai jo khud bheegti rehti hai magar 

   apne neeche chalne walon ko mehfooz rakhti hai.


4.maa us phool ki trah hai jo khud kanton mein rehta hai 

magar apne pas se guzrne walon ko bhi 

khushbu pohnchata hai.


5.dunya mein her cheez ka nem ul badal hai magar mamta ek

   aesa anmol heera hai jiska koi saani nhi.


6.maa ke baghair ghar ek kabaristan hai.


7.MAA ki aghosh insan ki pehli daras gah hai.


8.MAA zindagi ki tareek rahon mein roshni ka minaar hai.


9.MAA ko museebt k waqt jab bhi yad krta hoon , bahut sakoon 

 milta hai. 


10.Maa se barh ker koi brra ustad nhi.


11.Maa ki dua meri kamyabi ka raaz hai.


12.Maa ki mohabbat phool se zyada taro taza hai.


13.maa ke qadmon taly jannat hai.


14.MAA ki nafarmani krna gunah e kabeera hai.


15.Maa ki asal khoobsurti uski mohabbat hai.


16."meri maa dunya ki khubsurat MAA hai.


17.Maa ki khushnudi dunya mein baes e daulat aur akhirat mein baes e nijat hai.


18.Maa ki baddua se bacho q k khuda aur us ke darmyan 

  koi parda ni hota.


19.Maa insan ko sab se zyada pyar karne wali hasti hai.


20.maa k munh se nikli hui dua ALLAH zrur qabool karta hai.


21.MAA ka dusra naam Jannat hai.


22. Maa k baghair kainat na mukammal hai.


23.Maa ki aah wo hai jo seedhi arsh pe jati hai.


24.Maa ek aesa naghma hai jiska taranum zindagi

   ka aehsas dilata hai.


25.Maa ek dua hai jo sadaa qayam rehti hai.


26.MAA ki khushnudi ALLAH ki khushnudi hai.

 

27.Maa ki khidmat jannat ki zamant hai.

 

28.MAA ka aehtram jitna kia jae kam hai.

 

29.MAA wo hasti hai jo tehzeeb ki bunyad dalti hai 

     jo muashrat ka roop dharti hai.

 

30.agr tumhari MAA zinda hai to us ko khush ker k jannat hasil ker lo.

REQUEST: plz respect your mothers.

No comments:

Post a Comment

By: Shujaat Hussain Gondal

Blog Posts