URDU POETRY
btao tumhen kya mila....
rishta wafa ka jorr ker
phir dil hmara torr ker
youn tanha hamen chhorr ker
btao tmhen kya mila?
pehle hmen pukar ker
apne dil mein utaar ker
phir nafrt ka teer mar ker
btao tmhen kya mila?
hum se ankhen chaar ker ke
hamen zaar zaar ker ke
dil; be qaraar ker ke
btao tumhen kya mila?
hum ko mjbur ker ke
apno se door ker ke
zakhmon se chur chur ker ke
btao tmhen kya mila?.
phir dil hmara torr ker
youn tanha hamen chhorr ker
btao tmhen kya mila?
pehle hmen pukar ker
apne dil mein utaar ker
phir nafrt ka teer mar ker
btao tmhen kya mila?
hum se ankhen chaar ker ke
hamen zaar zaar ker ke
dil; be qaraar ker ke
btao tumhen kya mila?
hum ko mjbur ker ke
apno se door ker ke
zakhmon se chur chur ker ke
btao tmhen kya mila?.
MARCH PHIR UDAS HAI...
march phir udas hai ,
ajnabi si rahon mein,
door tak nigahon mein,
be rukhi ka mausam hai,
aaj phir nigahon mein,
beety pal ki pyas hai,
phir raha hun dar badar,
kisi moajzy ki aas hai,
aisa lgta hai jaisy ,
march phir udas hai,
baat to kre koi,
sath to chaly koi,
khamoshi ka pehra hai,
zakhm dil ka gehra hai,
aaj dil ye bahut udas hai,
aisa lagta hai jaise,
March phir udas hai.....
TUJHE ILM HAI....
tujhe ilm hai ay
tabib e jan tera pyar hi
meri hayat hai,
main mareez hun tery
qurb ka mujhe door ja k
dwa na de,
yahan sab
andhair parast hain
yahan roshni ki majaal
kia,
ye chiragh phir bhi
chiragh hai koi aaty
jaty bujha na de,
tum gaye dino mein jo
saath thy mere
qalb o jan ka saboot thy,
ye bila wjha tera roothna
meri zindgi ko mita na de,
tery samny mere
ham safar meri dharkanon
ki bisat kya,
tera is tarha mujhy
dekhna kahen meri umr
ghata na de...
janoon mein ker diya tu ne pash pash mujhy,
wo mujh ko baant k kuch waqt kaat lety hain,
samajh liya hai mere doston ne taash mujhy,
wo hadsa tha k ander se ho gya hun khander,
bazahir ayi ni hai koi khrash mujhy,
mai ek raaz tha k dafan tere seeny mein,
bhugat nateeja k tu ne kia hai faash mujhy,
kahin main tum ko milun to bta dena,
kai dino se hai saaqi teri talaash mujhy.
KAHA THA NA....
Kaha tha na k main nazuk hun mat trash mujhy,
janoon mein ker diya tu ne pash pash mujhy,
wo mujh ko baant k kuch waqt kaat lety hain,
samajh liya hai mere doston ne taash mujhy,
wo hadsa tha k ander se ho gya hun khander,
bazahir ayi ni hai koi khrash mujhy,
mai ek raaz tha k dafan tere seeny mein,
bhugat nateeja k tu ne kia hai faash mujhy,
kahin main tum ko milun to bta dena,
kai dino se hai saaqi teri talaash mujhy.
No comments:
Post a Comment